Dedicated to My Daddy :-)

Mujhe itna pyar na do Baba..
Kal jitna mujhe naseeb na ho..

Ye jo maatha choma karte ho..
Kal is per shikan ajeeb na ho..

Main jab bhi roti hoon Baba..
Tum Aansu ponchaa krte ho..

Mujhe itni dour na chor aana..
Main roun or tum qareeb na ho..

Mere naaz uthate ho Baba..
Mere laad uthate ho Baba..
Meri chhoti chhoti khawhish par..
Tum jaan lutate ho Baba

Kal Aisa ho ik nagri mein
Main Tanha Tum ko yaad karon..
Or Ro Ro kar faryaad karun..
Koi pyar jatane wala ho...
Mere naaz uthane wala ho..

koi mere baba jaisa ho
Mujhe itna pyar na do Baba