bohat toote huye hain ham abhi dastak nahi dena

hamare aankh hai purnam abhi dastak nahi dena

mare yaro abhi kuch din mera ahwal mat pucho

abhi dil main hai us ka gham abhi dastak nahi dena

shab-e-tenhai main trapna hai bohat muj ko

abhi hai dard kuch madham abhi dastak nahi dena



Na vo farishta ho na farishte jaisa ho 
Mujhe talasha hai uski jo mere jaisa ho

Mere khaton ko pehchanta ho bas kafi hai 
vo koi bhi, kahi bhi ho, kaisa ho

Jo khwab dene ki qasir ho mere aankho me 
Meri mohabbato ko pehchan sake aisa ho

Agr kabhi ruth jaun main usase to 
Muskura ke manaye vo aisa ho

Jo baat kare to wo nibha bhi sake 
Iradon me apne vo chahton jaisa ho

Dukho me hasne ka hunar janta ho
Ek aisa hamsfar jo samandar ki tarah gehra ho

Wo sirf mera ho nigaho ki haya rakhta ho 
Umar bhar saath chale Wo vaisa ho
Hazaron manzile hongi..
Hazaron karvah honge..
Nigahe Hamko ko dhundhegi..
Na jane Ham kaha honge..:(

duuR ik jazeeray par 
ik udaas Larki hay
AankhaiN Uss ki bojhal sii
Un meiN khawaab An-dekhay
khawaab dekh bhii lay gar, 
ta‘beer say wuh darti hay
Ruuh Uss kii rotii hay
man kaa meet paanay ko
hont Uss kay be- kal haiN
Dil kii baat Sunanay ko
Roz sochtii hay wuh
Chohr duuN jazeera hay
haath thamuN dilbar kaa
aur ja basuuN Uss Aangan meiN
jis meiN saath Suraj kay 
khushiaaN bhi utarti haiN
par, apnaa yeh jazeera wuh
chohr bhii nahiN saktii
ghum kay iss jazeeray nay
Uss kay phailay daaman meiN
jitnay dukh bhii daalay haiN
jitnay ghum bhii bakhshay haiN
Saaray duusroN kay haiN
Uss kii kaalii qismat meiN
phaelii hax jo tareekii
chahyaa hay jo san'nataa
saraa duusroN ka hay
Uss nay apnay rishtoN say 
paii haiN jo zanjeeraiN
Uss kay paoN kay neechay, 
jo Aseer khanaa hay
Uss aseer khanay ko, 
chohrna bhi chahay tou,
chohrnay say dartii hay
apnay rishtoN kay bandhan, 
torna bhii chahay tou,
tornay say darti hay
ghum kay qaid khanay meiN
jaanay kab say tanha hay
jaanay kab say wuh apnii 
khushiyoN ko tarastii hay
duuR ik jazeeray par 
ik udaas Larki hay
ik Udaas Larkii hay..!


Hum nazuk nazuk dil  waale 
kabhi hanstay hain...
Kabhi rotay hain...
Dil main khawab pirotey hain...
Kabhi mehfil mehfil phirtay hain...
Kabhi zaat mian ghum ho jatay hain...
Kabhi chup ki mohar sajatay rehtay hain...
Kabhi geet laboon par aatey hain...
Kabhi sab ka dil behlatay hain...
Kabhi khud tanha ho jatay hain...
Kabhi lambi taan k sotay hain...
Hum nazuk nazuk dil wale,,,
bas apnay app main rehatay hain...

Dedicate to all those who Forget their parents aftre marraige.

Jab tu paida huwa kitna majboor tha
Yeh jahan teri sonch se bhi door tha...

Haath paaon bhi tab tere apney na thay
Teri ankhon main duniya ke sapney na thay...

Tujh ko aata sirf rona hi tha
Doodh pi ke kaam tera sona hi tha...

Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil main basaya tha maa ne teri...

Maa ke saaye main parwaan chadne laga
Waqt ke sath qad tera badne laga...

Dhirey dhirey tu kadiyal jawan ho gaya
Tujh pe saara jahan meharban ho gaya...

Zor-e- bazoo pe tu baat karne laga
Khud hi sajney laga khud sanwarney laga...

Ek din ek ladki tujhe bhaa gayei
Ban ke dulhan woh tere ghar agayei...

Ab faraayez se tu door honay laga
Beej nafrat ka khud hi tu boney laga...

Phir tu maa baap ko bhi bhulaaney laga
Teer baton ke phir tu chalaney laga...

Baat be baat unn se tu ladney laga
Qayda ek naya tu phir padnay laga...

Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Abb humara guzara nahin tere bin...

Sunn ke yeh baat tu tayesh main agaya
Tera gussa teri aqal ko kha ga